Monday, September 20, 2010

The totem

He sat there
Looking at her
His music playing in his head
He waited years
He waited ages.

She lay besides him
Beauty of His creation
Oozing out of her
Even though, it tempted him not
It was in its grasp
That he was caught.
He was lost.
Like a ruthless arrow
It shot through his heart.

Woken up now,
His dream was shattered.
Troubled with the reality
He fought to hold onto his sanity
With the totem of his love.


No one minds getting lost in dreams. It's reality that most fear. We need a totem (an anchor) - not to avoid getting lost in dreams but to avoid getting lost in reality. Hold on to your totem. Do anything, don't lose it. Its painful, being lost.

4 comments:

Neeru Sharma said...

good expression!
would love to see happier tone in your next poems!

Grey Inks said...

Nature bhi gam deti hai,
par jab sahan se zyada ho jaye,
Yun toh 364 din woh
phool, dhoop aur khushiyan
sab ke daman main deti hai.

Jab apna wazan ham dharti pe,
aur zulm sab pe karten hain,
toh uska seena, do chaar baras
main kabhie ek din phat-ta hai,
ya kahin lava ubalta hai,
kahin sehlab uchalta hai.

Yun zyadatar nature,
khushiyan hi baanti hai.

Kyon udaas tu rehta hai?
khud ko kyon itni ahmiyat,
tu deta hai,
kyon itna udaas,
itni kam umr main dikhta hai?

Haath khool kabutar jab udaya tune,
to kya uski flight koh bhi program kiya tha tune?
idhar udhar jo woh kabootar ab udta hai,
kya aazadi ko woh nahin chahta hai?

Yehi azzadi pehli di tujhe ishawar ne,
tune usse bhula diya,
uska astitva bhi nakar diya,
uske usool bhi bhula diye tune,
itni badi duniya ke malik ko,
jab tune nahin maana,
apni logic ki tez tarrar talwar se,
chalni chalni kar daala,
uske dukh ko jab tu assani se bhool gaya,
toh gar kabootar bhi tujhe thodi der ke liye bhool gaya,
toh kya usne gunah kiya?

Tera dukh bada hai,
kyon ke teri duniya choti hai,
malik ki duniya bahut badi hai,
uska dil aur bhi bada,
usne jab tujhe choda,
chahe tu jahan jaa,
usne tujhe na roka,
par teri har udaan
ko dekhta hai woh,
uss shaam ki intezaar main,
jab tu uske paas
idhar udhar bhatak kar,
sab cheezon main sukh dhoondte thak kar,
wapas uske paas aa jayega.

mat dil chota kar,
jaise tu ek din apne malik ke paas laut jeyga,
tera kabootar bhi
tere paas laut ayega.

Dil bada rakh,
duniya badi rakh,
khud apne ko bhula kar,
har insaan main
wahi kabootar dhoondh,
jo ud raha hai,
assmaan koh choo raha hai.

Jin dilon main pyaar basta hai,
unhi main khuda basta hai,
aur khuda azadi ka doosra naam hai,
bekhudi hai, ahsaas hai,
khuddari nahin, na tang dili.

Phool ban ke khil,
murjha nahin,
sooraj ban ke
roshne de,
badlon se ghabra nahin,
jharna ban ke beh,
kahin rukna nahin,
hawa ban ke chal,
ek jagah ulajhna nahin.

Khuda se seekh
jisne apne sab se pyaare koh
na bandagi main baandha
uska naasha jis din jagega,
sab kuch fika lagega.

Jis justu ju main tu uljha hai,
wah ek wakaya hai,
jo mil gaya toh bhi gar
khush ho jaye batana,
kyonke itna kuch jo aaj tak mila,
toh yeh bata,
ke usme khushi tujhe mili hai?

Gar nahin,
toh isliye ki in main asliyat hi nahin,
Satt Chitt Anand,
Truth, Consciousness & Bliss,
Iswar ka duja naam,
aisa hi toh nahin.

Dimaag paise ke liye zaroori hai,
jeene ke liye dil zaroori hai,
par bada wala dil.
Chote dil main
fir dil nahin,
dimaag hi kaam karega,
pyaar nahin,
tu kuch aur hi karega.

Hey! Your poem is very good.
Sentiment is sad.

Kasper said...

dil mein jo chhupa hai
ruk ruk ke jhankta hai
"mujhe chhupa kyun rakha hai?"
pal pal mujhse kehta hai.
"main hi hun tera sahara,
tu mujhpe hi palta hai"

baat ki baat mein hai dum
par jawab use bhi dete hain hum-
"mere kandhe pe bandook rakh ke,
tu mujhe hi goli maarta hai,
isliye mere mere dost mer gham
tujhe dil mein basaya hai.
Chaahe tu soche tujhe wahan dabaya hai, dafnaya hai
maine toh tujhe wahin paya hai
wahin sambhala hai.

"chehre pe muskaan
kadmon mein josh
aankhon mein sapna
aur kandhon pe boja
uthaya hai.

"par dil jo achanak hua khaali
usmein tere liye mahal banaya hai.

"Shah Jahan ki tarah
yahin beetein tere baaki din
aisa prabandh rachaya hai,
sheeshe se dekh
baadshah-e-gham
mujhe ab tera hi sahara hai."

Neeru Sharma said...

Hey! really great!! both of you!
AWESOME!!!!!